Ramadan Mubarak ka maheena rehmaton aur barkaton ka maheena hai. Yehi wo mahina hai jismein Allah Ta’ala ne Quran Majeed ka nazool farmaya aur isi mahine mein humare liye be-shumaar ibadat aur nekiyon ka darwaza khol diya gaya. Is mubarak mahine mein Zakat aur Fitrana ada karna na sirf hamari imani zimmedari hai balki gareeb aur zarooratmand logon ki madad ka behtareen zariya bhi hai.
Zakat Ki Fazilat
Zakat Islam ke paanch buniyadi arkaan mein se ek hai aur is ka farz hona Quran aur Hadith se sabit hai. Allah Ta’ala farmata hai:
“Aur Namaz qaim karo, aur Zakat do, aur jo neki tum apne liye aage bhejoge usey Allah ke paas paaogey.” (Al-Baqarah: 110)
Zakat ek aisi ibadat hai jo sirf maal ko paak nahi karti balki is se dil bhi paak hota hai. Ye ek aisi sadqa-e-wajiba hai jo musalmanon ko mal-o-dolat ki muhabbat se azaad karti hai aur gareebon ki zaroorat poori karti hai.
Fitrana Ka Maqsad Aur Ahmiyat
Fitrana ya Sadqa-e-Fitr bhi ek ahem ibadat hai jo Eid-ul-Fitr se pehle ada ki jati hai taake gareeb log bhi Eid ki khushiyon mein barabar shamil ho sakein.
Hazrat Ibn Abbas (R.A) farmate hain: “Rasool Allah (S.A.W) ne Sadqa-e-Fitr ko is liye wajib qarar diya taa ke roze daar ki ghaltiyon ka kaffara ho aur gareebon ko bhi Eid ki khushi mil sake.” (Abu Dawood)
Iska nisaab aam tor par ek saa’ (lagbhag 2.5 – 3 kg) gehu, khajoor, jo ya chawal ke barabar hota hai, jo har fard par wajib hai jo sahib-e-istitaat ho.
Apni Zakat Pink Ribbon Ko Dein – Needy Breast Cancer Patients Ki Madad Karein
Ramadan ke is pak aur mubarak mahine mein hum sab ko chahiye ke apni Zakat aur Sadaqat un logon tak pohchayen jo asal mein zarooratmand hain. Pink Ribbon ek mashhoor aur mo’tabar organization hai jo Pakistan mein breast cancer ke mareezon ka muft ilaaj faraham karti hai. Har saal hazaron khawateen breast cancer ka shikar hoti hain, magar bohat se logon ke paas ilaj ke liye pesa nahi hota.
Aap apni Zakat Pink Ribbon ko dein taake gareeb aur zarooratmand breast cancer patients ka ilaaj mumkin ho sake. Ye ek aisi neki hai jo kisi ki zindagi bacha sakti hai aur aapke maal ko barkat aur pakizgi ata karti hai.
Zakat Aur Sadaqat Kahan Aur Kaise Dein?
Agar aap chahein to apni Zakat aur Fitrana online ya direct Pink Ribbon ke account mein jama karwa sakte hain. Ye paise sidha un logon tak pohnchaye jate hain jo waqai iske mustahiq hain.
Apni Zakat aur Fitrana dene ke liye abhi Pink Ribbon se rabta karein aur ek achi aur naiki ka hissa banein!
Ramadan ke is paak mahine mein Allah se dua karein ke wo humein is ki mukammal barkatein hasil karne ki taufeeq de aur humein apni Zakat aur Sadaqat sahi logon tak pohchanay ki hidayat de. Ameen!